Skip to main content

Boyler Murgi palan kese kre

          Hello dosto kese Ho sab m aapko es post me Boyler murgi palan k bare me btauga ki aap kis treh se murgi palan kr lakho rupay kma sakte h....to chaliye aapka jyada time na vest krte huye sidhe mude ki bat pe aate h.........
      Jadi aap murgi palan k bare me soch rhe h to aapko es post me aapke sabhi swalo ka jwab mil jayega.......
     Hum murgi ko do karno se pal sakte h ek ando k liy or ek mass k liy....

Boyler murgi palan kya h

       Boyler murgi palan ka main karn mass hota h. Boyler dwara murgi ko mass k liy pala jata h enki badwar shmta bhut adhik hoti h yani j bahut hi jaldi groth krte h....
          J ando se niklte vakat j 35 gram k hote h or 40 Dino bad sahi postik aahar milne se j 2kg k uper ho jate h

Boyler murgi palan ka trika 

    Aap Boyler ko do trho se pal sakte h ek khule me or ek shed me......
Yha per ydi aap jyada profit gain krna chahte h to aap ko eski palan shed me krna chahiye esse chujo groth rate bahut adhik hoti h...

1.farm k liy jgah ka chayn 

  • Sabse pehle aap Jadi Boyler farm kholna chahte ho to jo jgah per aap shed bna rhe h vo bjar k bilkul najdhik honi chahiye.
  • Jgeh thodi uchai per honi chahiye taki barsat ka pani shed me na guse.
  • Bijli v pani ki uchit vayastha honi chahiye kyoki bruding k liy chujo ko bahut garmi ki aavshakta hoti h jo Bijli  k dwra puri hoti h.
  • Bechne k liy bjar najdhik hona chahiye or vha pr chujo, dwaeya v vaccine ki vayastha honi chahiye.
  • Trasport ki bhi uchit vayastha honi chahiye 

2. Shed ka nirman 

  • Shed ka nirman purav se pashchim disha me hona chahiye jisse kI jarurat k hisab se shed me dup aa sake kyoki jah kitanuyo ko marne me shayak h or shed me nami nahi panpati h
  • Shed ki chodai 35 se 40 fit honi chahiye or labai chujo ki skhya k aadar per honi chahiye 
  • Shed ko chujo k aadar per batna hoga jese 0 se 10 din k chuje alag or 10 se 20 Dino k chuje alag or 20 se sale hone tak unhe alag rakhna chahiye jinse unki jarurto ko pura kiya ja sake kyoki 0 se 10 Dino k chujo ko adhik garmi kI aavshakta hoti h jo Bijli ka balb jlaker puri ki jati h eske bad unhe eski jarurat nahi hoti h es liy unhe alag rkha jata h
  • Shed me jo jali lgai gai h vo uter dakshin dono disha me hona chahiye taki shed k ander hwa aa jasake 
  • Shed k shat simant ya aluminum chader ki honi chahiye jha per mere hisab se simant ki honi chahiye kyoki garmiyo me aluminium ki shat k ander tap man bad jayega jo murgiyo k liy aucha nahi h
  • Shed ki uchai bich se 15 fit or kinaro per 8 fit honi chahiye.
  • Pani ke liy tankI bhi honi chahiye 

3. Dane or Pani k bartender

  • 100 chujo per 3 Dane k or 3 Pani k barten hone chahiye 
  • J aatomatik ya manual Do trh k hote h j aapke bajat per dipend krta h
  • Mere hisab se aatomatik badiya hota h kyoki jese chuje Pani pite h to us bakat me or Pani apne aap aa jata h es terh se Hume Pani ko bar bar badlna nahi pedega kyoki nya Pani apne aap badlta rhega 

4. Fersh ka bishona

                     Fersh per aap bishone k rup me lakdi ka burada or prali ka use kr sakte h. Hme es terh ka bishone ka use krna h jo jyada nami sokh ske kyoki ager unke niche ki Fersh gili ho jaye to us smaye murgiyo ko anek bimariya leti h esliy Fersh kò hmesha sukha rakhna hoga......ager Fersh gila ho jaye to aapko bishona badal dena chahiye j aapke farm ki success kiy bahut aacha rhega 

5. Buruding 

Buruding yani 0 se 10 Dino k chujo k liy garmi ki bahut aadhik aavshakta hoti h jo hum unke uper Bijli ka balb jlaker puri kr sakte h.....
      Eske liy 500 chujo per 250 Wat k ek balb ki aavshakta hoti h or chujo ko 24 gante garmi chahiye. Esliy 24 gante Bijli ki aavshakta h 
        Es garmi se hi chujo ki groth hoti h uchit garmi na milne per aap k chuje kamjor hoker mer sakte h
       Ager aapke aapke pass light ki uchit vayastha nahi h to aap j kam gess sleder lamp se bhi kr sakte h jha per aapko garmi k liy uchit mantain krna hoga 

6. Aahar perbadhen 

  Hum jo murgiyo ko Dana de rhe h hum use 3 bago me bat sakte h
0 se 10 Dino k chuje k liy-------Prestater 
10 se 20     ---------Stater 
20 se 40------      Fanisher 

7. Parti chuja jgah ki aavshakta 

  • 0 se 10 Dino k chujo k liy 3 chujo per 1 verg fit
  • 10 se 20 Dino k chujo k liy 2 chujo per 1 verg fit
  • Or 20 se sale hone tak 1.5 verg fit per chuje k liy jgah ki aavshakta hoti h

8. Tikakren

           Aajkal murgiyo ko anek ranikhet jesi bimariya ho jatI h jo khaternak hoti h jo murgiyo kI mot ka bhi Karen ban sakti h esliy Hme tikakaren avshay hi krwana chahiye nahi Hme bda loss ho sakte h
  1. 6 se Dino per chujo ko ranikhet ki bimarI ki roktham k liy Lasota vaccine lagvana chahiye........ese eye me ja chuje ki nak me 1 bund dal kr diya ja sakta h
  2.   10-12 dino per Infections Brusal lagvana chahiye ese barf wale thande pani me dalker diya jata h
  3. 18-21 dino per Lasta lagaya jata h ese powder dud ya thande barf wale panI me diya ja sakte h
  4.  24-30 dino per Gambaro disease diya jata h ese bhi thande pani me diya jata h
Dairy Farm
Patel dona machine lgaker mahine ka 30 se 40000 rupay kmaye

Dyan dene yogay bate 

  1. Fersh hmesha sukha rakhna chahiye
  2. Kisi baher k vaykti ko ander n aane De chujo ko infection ho sakta h
  3. Ek mahine me 5-6 bar chune ka shidkav  shed k ander krna chahiye jo anek bimariya ki roktham krta h
  4. Yadi aap ko shed k ander Jana ho to aapko raber k jute, mask , or galabs pehna chahiye esse do fayde hoge ek aap khud bimari se bache rhege or aapke chujo ko infection nahi hoga
  5. J Sabse jaruri point h aapko apnI murgiyo ko 35 se 40 din per Bech dena chahiye kyoki 40 din per unki groth lagbag purI ho jati h ager aap ese jyada din rakho ge to aapko loss hoga.......
Umid h ki aapko puri jankari mil gai hogi......ager aapko kush smaj na aaya ho to aap muge comments k dwara koi swal push sakte h muge aapkI help krna aucha lgega......Thank you 

Comments

Popular posts from this blog

Email padker paisa kmane ki top 5 website

Aaj hmare india me lakho log educated h lekin fir bhi vo brojgar h. Kyoki hmare pas gaidens ki kmi h. M aapko es article me email padker kese aap mahine ka 15000 rs aasani se kma sakte h vo btauga.                          Ji ha dosto j Sach h Kai logo ne apna cariyer bna liya h. Jese blog or website se log paise kma rehe h. Esi trh se aap rojana 25-30 mint deker email padker paise kma sakte h           Lakin m aapko j btana chahuga ki Kai email's websites dhokhebaj bhi hoti h. Vo aapse join to krwa leti h lakin vo aapko Aapki mehnat ka paisa nahi deti h. Jo website  aapse joining  fee mag rehi h vo website dhokhebaj h. Es liy me aapko es article me top 5 email websites k bare me btauga. Enko mene khud try kiya h j well trusted h. 1. Mailmatrix.com       Mailmatrix.com email padker paise kmane ki ek auchi website h. J website 2002 se kam kr rhi h. Eska j sachaI ka pruf h Kyoki koi bhi dhokhebaj website etna jyada time nahi chal sakti h vo 1-2 sal k ander band ho jati  h

New bloggers karte h hmesha j galtiya

     Jab aap kisi field me nye hote h to hmesha hi galti kr dete h. Kyoki jab hum koi nya kam shuru krte h to hme uske bare me knowledge  k bare me abhav hota h....m aapko es post m btauga jo new bloggers hmesha galti krte h......esko jan lene k bad aap nishchit hi j galtiya nahi krege....Kyoki en galtiyo se kai bloggers apna kariear khatam kr lete h or j kafi nuksan dayak sidh hoti h.....             Post ko lamba na khichte huye sidhe topic pe aate h....... 1.Heading                    Sabse Pehle new bloggers starting me heading se judti galti kr dete h yani jab aap koi blog per new post dalte h to jo aapki post ki heading hoti  h vo ekdum sapast honi chahiye yani jo aap apni post me likhrhe h vo heading se saf pta chalta Ho or vahi text write kre jiski aap heading dal rhe h 2.Tode samye bad blog per koi nya topic jodna               Jab aap koi blog bna rhe ho to aap vahi topic chuj kro jisme aap puri treh auche ho.....yani aap puri trh sapast ho ki aapko kis topic y